kyon mere sath hi aksar ye hua karta hai
kyon mere sath hi aksar ye hua karta hai
Azimuddin Sahil Kalamnoori
MORE BYAzimuddin Sahil Kalamnoori
kyoñ mire saath hī aksar ye huā kartā hai
maiñ jise chāhūñ use vaqt judā kartā hai
mar bhī jaatā hai to detā hai jahāñ ko resham
jaal atrāf vo apne hī bunā kartā hai
us kī āñkhoñ se barastī hai sadā hī resham
kis kī yādoñ meñ shab-o-roz ghulā kartā hai
ḳhatm hotī haiñ vahāñ apnī nigāhoñ kī hadeñ
kahīñ sūraj bhī pahāḌī meñ Dhalā kartā hai
aa hī jaate haiñ vidā.ī pe dul.han kī aañsū
kis ke roke se ye sailāb rukā kartā hai
varna maujeñ lab-e-sāhil bhī Dubotīñ sāhil
mire jiine kī koī hai jo duā kartā hai
kyon mere sath hi aksar ye hua karta hai
main jise chahun use waqt juda karta hai
mar bhi jata hai to deta hai jahan ko resham
jal atraf wo apne hi buna karta hai
us ki aankhon se barasti hai sada hi resham
kis ki yaadon mein shab-o-roz ghula karta hai
KHatm hoti hain wahan apni nigahon ki haden
kahin suraj bhi pahaDi mein Dhala karta hai
aa hi jate hain widai pe dulhan ki aansu
kis ke roke se ye sailab ruka karta hai
warna maujen lab-e-sahil bhi Dubotin sahil
mere jine ki koi hai jo dua karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.