kyon mujhko ghani chhanw mein marne nahin deta
kyoñ mujh ko ghanī chhāñv meñ marne nahīñ detā
kyoñ dhuup kī sarhad se guzarne nahīñ detā
thā merī uḌānoñ se pareshān jo pahle
ab mujh ko zamīnoñ pe utarne nahīñ detā
sachchā.ī kā jaltā huā sūraj mirā dushman
āñkhoñ meñ koī ḳhvāb Thaharne nahīñ detā
miltā nahīñ ab pahle kī mānind vo lekin
zanjīr-e-ta’alluq bhī bikharne nahīñ detā
andāza nahīñ us ko zamāne kī havā kā
ahvāl bayāñ bhī mujhe karne nahīñ detā
kyon mujh ko ghani chhanw mein marne nahin deta
kyon dhup ki sarhad se guzarne nahin deta
tha meri uDanon se pareshan jo pahle
ab mujh ko zaminon pe utarne nahin deta
sachchai ka jalta hua suraj mera dushman
aankhon mein koi KHwab Thaharne nahin deta
milta nahin ab pahle ki manind wo lekin
zanjir-e-ta’alluq bhi bikharne nahin deta
andaza nahin us ko zamane ki hawa ka
ahwal bayan bhi mujhe karne nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.