kyon na aane ki baat karte ho
kyoñ na aane kī baat karte ho
dil dukhāne kī baat karte ho
dil lagāne kī baat karte ho
kis fasāne kī baat karte ho
ye kaho ḳhud bhulā diyā tum ne
kyoñ zamāne kī baat karte ho
kaun vaa.iz sune tumhārī baat
kab Thikāne kī baat karte ho
sīm-tan la.al lab guhar dandāñ
kis ḳhazāne kī baat karte ho
tum abhī aa ke bhī nahīñ baiThe
aur jaane kī baat karte ho
bazm-e-hastī ujāḌne vaalo
kyoñ sajāne kī baat karte ho
kuchh nahīñ jis meñ hasratoñ ke sivā
us zamāne kī baat karte ho
bhūlnā bas meñ jo nahīñ ai 'zubair'
vo bhulāne kī baat karte ho
kyon na aane ki baat karte ho
dil dukhane ki baat karte ho
dil lagane ki baat karte ho
kis fasane ki baat karte ho
ye kaho KHud bhula diya tum ne
kyon zamane ki baat karte ho
kaun waiz sune tumhaari baat
kab Thikane ki baat karte ho
sim-tan lal lab guhar dandan
kis KHazane ki baat karte ho
tum abhi aa ke bhi nahin baiThe
aur jaane ki baat karte ho
bazm-e-hasti ujaDne walo
kyon sajaane ki baat karte ho
kuchh nahin jis mein hasraton ke siwa
us zamane ki baat karte ho
bhulna bas mein jo nahin ai 'zubair'
wo bhulane ki baat karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.