kyon na ab dekh len hum be-sar-o-saman ho kar
kyoñ na ab dekh leñ ham be-sar-o-sāmāñ ho kar
zindagī kaise guzartī hai pareshāñ ho kar
rang-o-bū kī koī qīmat hī bahāroñ meñ na thī
aa ga.e aaj vo ḳhud jān-e-gulistāñ ho kar
kashmakash hī sī sitāroñ ke tarannum meñ rahī
ab jo āvāz koī de to ġhazal-ḳhvāñ ho kar
bazm-ārā-e-chaman ko ye abhī kyā ma.alūm
bujh ga.iiñ sham.eñ yahāñ kitnī farozāñ ho kar
jazba-e-farz bhī hai kaif-e-mohabbat meñ 'vaqār'
ġham to un kā bhī hai lekin ġham-e-daurāñ ho kar
kyon na ab dekh len hum be-sar-o-saman ho kar
zindagi kaise guzarti hai pareshan ho kar
rang-o-bu ki koi qimat hi bahaaron mein na thi
aa gae aaj wo KHud jaan-e-gulistan ho kar
kashmakash hi si sitaron ke tarannum mein rahi
ab jo aawaz koi de to ghazal-KHwan ho kar
bazm-ara-e-chaman ko ye abhi kya malum
bujh gain shamen yahan kitni farozan ho kar
jazba-e-farz bhi hai kaif-e-mohabbat mein 'waqar'
gham to un ka bhi hai lekin gham-e-dauran ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.