kyon na ai bedari-e-ehsas tujhse Dar lage
kyoñ na ai bedārī-e-ehsās tujh se Dar lage
jab kisī kā sar qalam ho mujh ko apnā sar lage
chehra chehra DhūñDhtā huuñ shādmānī kī dalīl
jaane kyoñ har shaḳhs mujh ko ġham kā paiġhambar lage
reza reza chun rahā huuñ āñsuoñ kī chhāñv meñ
dil ke ā.īne pe kitne vaqt ke patthar lage
lamha lamha chāTtī hai dil ke zaḳhmoñ kā lahū
phir bhī zālim mujh ko tanhā.ī baḌī dilbar lage
jin ko maanī ne kabhī chhūne kī jur.at bhī na kī
ahd-e-hāzir meñ hamāre haath vo patthar lage
tab kahīñ marbūt mutrib dil kā afsāna huā
ban ke jab paivand mere dard ke manzar lage
kyon na ai bedari-e-ehsas tujh se Dar lage
jab kisi ka sar qalam ho mujh ko apna sar lage
chehra chehra DhunDhta hun shadmani ki dalil
jaane kyon har shaKHs mujh ko gham ka paighambar lage
reza reza chun raha hun aansuon ki chhanw mein
dil ke aaine pe kitne waqt ke patthar lage
lamha lamha chaTti hai dil ke zaKHmon ka lahu
phir bhi zalim mujh ko tanhai baDi dilbar lage
jin ko mani ne kabhi chhune ki jurat bhi na ki
ahd-e-hazir mein hamare hath wo patthar lage
tab kahin marbut mutrib dil ka afsana hua
ban ke jab paiwand mere dard ke manzar lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.