kyon na apni dastan be-rabt afsana rahe
kyoñ na apnī dāstāñ be-rabt afsāna rahe
tum se ham mānūs ho kar ḳhud se begāna rahe
sabr kī had ho ga.ī saaqī idhar bhī ik nigāh
āḳhirash kab tak yūñhī hāthoñ meñ paimāna rahe
maiñ to apnī rau meñ kah guzrā huuñ dil kī dāstāñ
dekhiye ab yaad kis ko merā afsāna rahe
tauba tauba ye nigāh-e-mast ye kāfir shabāb
jo tujhe dekhe vo saarī umr dīvāna rahe
vo mujhe dekhā kareñ aur maiñ unheñ dekhā karūñ
lutf isī meñ hai ki yuuñ hī daur-e-paimāna rahe
husn ke saath aa hī jaatī hai mohabbat ko bhī niiñd
sham.a so jaa.e to kyoñ bedār parvāna rahe
kis ne dīvāna banāyā is ko kyā jaane vo 'shauq'
haa.e vo ġhāfil jo ḳhud apne se begāna rahe
kyon na apni dastan be-rabt afsana rahe
tum se hum manus ho kar KHud se begana rahe
sabr ki had ho gai saqi idhar bhi ek nigah
aaKHirash kab tak yunhi hathon mein paimana rahe
main to apni rau mein kah guzra hun dil ki dastan
dekhiye ab yaad kis ko mera afsana rahe
tauba tauba ye nigah-e-mast ye kafir shabab
jo tujhe dekhe wo sari umr diwana rahe
wo mujhe dekha karen aur main unhen dekha karun
lutf isi mein hai ki yun hi daur-e-paimana rahe
husn ke sath aa hi jati hai mohabbat ko bhi nind
shama so jae to kyon bedar parwana rahe
kis ne diwana banaya is ko kya jaane wo 'shauq'
hae wo ghafil jo KHud apne se begana rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.