kyon na hum aaj haqiqat hi bata den apni
kyon na hum aaj haqiqat hi bata den apni
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
kyoñ na ham aaj haqīqat hī batā deñ apnī
jism apnā hī na is jism meñ sāñseñ apnī
sach to ye hai ki kabhī ḳhud ko talāshā hī na thā
aur aa.ī bhī na thiiñ barsoñ se yādeñ apnī
bojh is dil kā kisī roz to halkā hogā
khul ke barseñgī kisī roz to āñkheñ apnī
ab ye aalam hai ham ik duuje ko sun lete haiñ
aur ḳhāmosh bhī rakhte haiñ zabāneñ apnī
jaane kis vaqt ho andar ke safar kā āġhāz
jaane kab ḳhatm hoñ bāhar kī ye dauḌeñ apnī
mujh ko pahle hī se irfān kā hai nashsha bahut
mere aage se haTā lo ye sharābeñ apnī
ab to har samt nazar aatā hai jalva apnā
ab to jis samt bhī uThtī haiñ nigāheñ apnī
aa.ina aa.ina hai aap ko kyā dekhegā
dekh saktī haiñ kahāñ ḳhud ko nigāheñ apnī
ruuh kī pyaas hai lafzoñ se kahāñ bujhtī hai
band kar do ye sahīfe ye kitābeñ apnī
ek tū hī to samajh saktā hai 'āsī' varna
kaun samjhegā tire shahr meñ bāteñ apnī
kyon na hum aaj haqiqat hi bata den apni
jism apna hi na is jism mein sansen apni
sach to ye hai ki kabhi KHud ko talasha hi na tha
aur aai bhi na thin barson se yaaden apni
bojh is dil ka kisi roz to halka hoga
khul ke barsengi kisi roz to aankhen apni
ab ye aalam hai hum ek duje ko sun lete hain
aur KHamosh bhi rakhte hain zabanen apni
jaane kis waqt ho andar ke safar ka aaghaz
jaane kab KHatm hon bahar ki ye dauDen apni
mujh ko pahle hi se irfan ka hai nashsha bahut
mere aage se haTa lo ye sharaben apni
ab to har samt nazar aata hai jalwa apna
ab to jis samt bhi uThti hain nigahen apni
aaina aaina hai aap ko kya dekhega
dekh sakti hain kahan KHud ko nigahen apni
ruh ki pyas hai lafzon se kahan bujhti hai
band kar do ye sahife ye kitaben apni
ek tu hi to samajh sakta hai 'asi' warna
kaun samjhega tere shahr mein baaten apni
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 109)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.