kyon na ho mujhse siyah-baKHt ke tan mein suraj
kyoñ na ho mujh se siyah-baḳht ke tan meñ sūraj
terī zulfoñ meñ hai shab gore badan meñ sūraj
gar sar-e-shām vo mah-ruḳh pa.e-gul-gasht aa.e
jāte-jāte bhī palaT aa.e chaman meñ sūraj
chāñd-tāroñ kā to kyā zikr hai ai māh-jabīñ
tere āñchal kī hai ek ek kiran meñ sūraj
aarsī us ne jo sharmā ke laboñ pe rakh lī
maiñ ye samjhā ki dahaktā hai dahan meñ sūraj
zer-e-āñchal vo tirā gorā badan thā zālim
yā shab-e-vasl meñ aaya thā gahan meñ sūraj
vasl kī shab tirī choTī meñ jo bunda uljhā
rāt-bhar chamkā kiyā saañp ke phan meñ sūraj
qabr meñ hove na taklīf farishtoñ ko 'asar'
bā'd-e-murdan koī rakh diijo kafan meñ sūraj
kyon na ho mujh se siyah-baKHt ke tan mein suraj
teri zulfon mein hai shab gore badan mein suraj
gar sar-e-sham wo mah-ruKH pae-gul-gasht aae
jate-jate bhi palaT aae chaman mein suraj
chand-taron ka to kya zikr hai ai mah-jabin
tere aanchal ki hai ek ek kiran mein suraj
aarsi us ne jo sharma ke labon pe rakh li
main ye samjha ki dahakta hai dahan mein suraj
zer-e-anchal wo tera gora badan tha zalim
ya shab-e-wasl mein aaya tha gahan mein suraj
wasl ki shab teri choTi mein jo bunda uljha
raat-bhar chamka kiya sanp ke phan mein suraj
qabr mein howe na taklif farishton ko 'asar'
ba'd-e-murdan koi rakh dijo kafan mein suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.