kyon na hon phir hijab ki baaten
kyoñ na hoñ phir hijāb kī bāteñ
ye haiñ 'ahd-e-shabāb kī bāteñ
dil ne majbūr kar diyā ham ko
varna sunte janāb kī bāteñ
zabt se kaam le zarā ai dil
chhoḌ bhī iztirāb kī bāteñ
aap qaa.em raheñge vā'de par
haiñ ye korī janāb kī bāteñ
muztarib dekh kar kahā us ne
kījiye sabr-o-tāb kī bāteñ
aap se maiñ ne kyā kahā āḳhir
kyoñ haiñ ye pech-o-tāb kī bāteñ
kab samajhtā hai koī ulfat meñ
ye 'azāb-o-savāb kī bāteñ
thūkiye bas huzūr ġhusse ko
ho chukīñ bas 'itāb kī bāteñ
jab samajhte ho tum 'rafīq' apnā
kyoñ haiñ phir ijtināb kī bāteñ
kyon na hon phir hijab ki baaten
ye hain 'ahd-e-shabab ki baaten
dil ne majbur kar diya hum ko
warna sunte janab ki baaten
zabt se kaam le zara ai dil
chhoD bhi iztirab ki baaten
aap qaem rahenge wa'de par
hain ye kori janab ki baaten
muztarib dekh kar kaha us ne
kijiye sabr-o-tab ki baaten
aap se main ne kya kaha aaKHir
kyon hain ye pech-o-tab ki baaten
kab samajhta hai koi ulfat mein
ye 'azab-o-sawab ki baaten
thukiye bas huzur ghusse ko
ho chukin bas 'itab ki baaten
jab samajhte ho tum 'rafiq' apna
kyon hain phir ijtinab ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.