kyon na jahan mein ho ayan aib-o-hunar alag-alag
kyoñ na jahāñ meñ ho ayaañ aib-o-hunar alag-alag
dekhte haiñ ba-chashm-e-ġhaur ahl-e-nazar alag-alag
raah meñ un ko vahm thā koī na bad-gumān ho
aa.e to sāth-sāth vo mujh se magar alag-alag
kis kā yaqīn kījiye kis kā yaqīñ na kījiye
laa.e haiñ us kī bazm se yaar ḳhabar alag-alag
maiñ huuñ idhar to vo udhar maiñ huuñ yahāñ to vo vahāñ
rahte haiñ mujh se duur duur āTh-pahar alag-alag
ranj-e-firāq-e-yār bhī sadma-e-rozgār bhī
ek dil aur itne ġham chāhiye ghar alag-alag
un ko ye vahm hai kahīñ ek se ek mil na jaa.eñ
log bahut haiñ bazm meñ sab haiñ magar alag-alag
hashr ko us ne chun liye 'dāġh' gunāhgār-e-ishq
taaḌ ga.ī hazār meñ us kī nazar alag-alag
kyon na jahan mein ho ayan aib-o-hunar alag-alag
dekhte hain ba-chashm-e-ghaur ahl-e-nazar alag-alag
rah mein un ko wahm tha koi na bad-guman ho
aae to sath-sath wo mujh se magar alag-alag
kis ka yaqin kijiye kis ka yaqin na kijiye
lae hain us ki bazm se yar KHabar alag-alag
main hun idhar to wo udhar main hun yahan to wo wahan
rahte hain mujh se dur dur aaTh-pahar alag-alag
ranj-e-firaq-e-yar bhi sadma-e-rozgar bhi
ek dil aur itne gham chahiye ghar alag-alag
un ko ye wahm hai kahin ek se ek mil na jaen
log bahut hain bazm mein sab hain magar alag-alag
hashr ko us ne chun liye 'dagh' gunahgar-e-ishq
taD gai hazar mein us ki nazar alag-alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.