kyon na phir shahr-e-KHamoshan mein sada di jae
kyon na phir shahr-e-KHamoshan mein sada di jae
Naqvii Mustafa Aabadi
MORE BYNaqvii Mustafa Aabadi
kyoñ na phir shahr-e-ḳhamoshāñ meñ sadā dī jaa.e
sham-e-mahfil jo sar-e-shām bujhā dī jaa.e
jab mile aañkh kisī se to jalā dī jaa.e
hai jo ye rasm to ye rasm uThā dī jaa.e
laḳhlaḳhoñ se to kabhī hosh nahīñ aane kā
ho sake to kisī dāman kī havā dī jaa.e
hairat-e-chashm-e-gila-mañd to kuchh kar na sakī
jū-e-ḳhūñ āñkhoñ se phir kyoñ na bahā dī jaa.e
raushnī ke liye kyoñ tuur ke mohtāj baneñ
dāġh-e-dil hī se na kyoñ sham.a jalā dī jaa.e
aa.ine gard-e-kudūrat se jo bad-bātin hoñ
kyoñ na iḳhlās ke chhīñToñ se jilā dī jaa.e
aql-e-ayyār kā parhez mudāvā hai maraz
dil baḌe kaam kī shai hai jo davā dī jaa.e
vo to kahiye ki nahīñ ma.arifat-e-aks-e-jamāl
aa.ina chuur ho gar baat batā dī jaa.e
tuur tak aane kī zahmat na gavārā ho agar
ik jhalak parda-e-dil hī se dikhā dī jaa.e
vālihāna nigah-e-shauq jo uTh jaa.e kabhī
be-gunāhī kī ḳhatā par na sazā dī jaa.e
ham ne maanā ki taḳhātub meñ hai rusvā.ī magar
harj kyā hai jo nigāhoñ se sadā dī jaa.e
haañ gunāhgār huuñ elān-e-haqīqat kar ke
hai munāsib jo sar-e-dār sazā dī jaa.e
jiite jī us kī galī se jo na uTThā 'naqvī'
hai munāsib ki vahīñ qabr banā dī jaa.e
kyon na phir shahr-e-KHamoshan mein sada di jae
sham-e-mahfil jo sar-e-sham bujha di jae
jab mile aankh kisi se to jala di jae
hai jo ye rasm to ye rasm uTha di jae
laKHlaKHon se to kabhi hosh nahin aane ka
ho sake to kisi daman ki hawa di jae
hairat-e-chashm-e-gila-mand to kuchh kar na saki
ju-e-KHun aankhon se phir kyon na baha di jae
raushni ke liye kyon tur ke mohtaj banen
dagh-e-dil hi se na kyon shama jala di jae
aaine gard-e-kudurat se jo bad-baatin hon
kyon na iKHlas ke chhinTon se jila di jae
aql-e-ayyar ka parhez mudawa hai maraz
dil baDe kaam ki shai hai jo dawa di jae
wo to kahiye ki nahin marifat-e-aks-e-jamal
aaina chur ho gar baat bata di jae
tur tak aane ki zahmat na gawara ho agar
ek jhalak parda-e-dil hi se dikha di jae
walihana nigah-e-shauq jo uTh jae kabhi
be-gunahi ki KHata par na saza di jae
hum ne mana ki taKHatub mein hai ruswai magar
harj kya hai jo nigahon se sada di jae
han gunahgar hun elan-e-haqiqat kar ke
hai munasib jo sar-e-dar saza di jae
jite ji us ki gali se jo na uTTha 'naqwi'
hai munasib ki wahin qabr bana di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.