kyon na rangin ho dastan meri
kyoñ na rangīñ ho dāstāñ merī
zikr un kā hai aur zabāñ merī
husn apnī shikast maan gayā
āfrīñ sa.ī-e-rā.egāñ merī
saikḌoñ hashr ke barābar hai
ik tamannā hai jāñ-nashīñ merī
uḌ gayā rang un ke 'āriz kā
lab tak aa.ī na thī fuġhāñ merī
kyoñ sunā.ūñ kisī ko maiñ āḳhir
un kā qissa hai dāstāñ merī
vo samā.e hue haiñ rag rag meñ
har adā ab hai dilsitāñ merī
rāh-e-dushvār ḳhud sabaq degī
na suneñ ahl-e-kārvāñ merī
har kalī gulsitāñ nazar aatī
qadr kartā jo bāġhbāñ merī
vajd taarī hai ahl-e-dil pe 'bashīr'
hāsil-e-ishq hai azaañ merī
kyon na rangin ho dastan meri
zikr un ka hai aur zaban meri
husn apni shikast man gaya
aafrin sai-e-raegan meri
saikDon hashr ke barabar hai
ek tamanna hai jaan-nashin meri
uD gaya rang un ke 'ariz ka
lab tak aai na thi fughan meri
kyon sunaun kisi ko main aaKHir
un ka qissa hai dastan meri
wo samae hue hain rag rag mein
har ada ab hai dilsitan meri
rah-e-dushwar KHud sabaq degi
na sunen ahl-e-karwan meri
har kali gulsitan nazar aati
qadr karta jo baghban meri
wajd tari hai ahl-e-dil pe 'bashir'
hasil-e-ishq hai azan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.