kyon na taDpa de jahan ko soKHta-jaanon ki baat
kyoñ na taḌpā de jahāñ ko soḳhta-jānoñ kī baat
muztarib kartī hai insānoñ ko insānoñ kī baat
dil-shikasta hausle hairāñ nigāh-e-ārzū
zindagī ko raas kab aa.ī sanam-ḳhānoñ kī baat
tīrgī-e-gesū-e-hastī kā aalam kyā kaheñ
dil hī dil meñ ghuT ke rah jaatī hai armānoñ kī baat
aam hotā jā rahā hai qissa-e-jām-o-subū
khul rahī hai ahl-e-dil par aaj paimānoñ kī baat
ab nikharte jā rahe haiñ āriz-e-husn-e-hayāt
ho rahī hai surḳh-rū ḳhūñ-gashta armānoñ kī baat
tishnagī lau de rahī hai ārzū-e-zīst ko
Dhal rahī hai aag ke sho.aloñ meñ paimānoñ kī baat
tīrgī-e-dahr meñ aish-o-tarab kī dāstāñ
'faiz' vīrāne meñ ho jaise gulistānoñ kī baat
kyon na taDpa de jahan ko soKHta-jaanon ki baat
muztarib karti hai insanon ko insanon ki baat
dil-shikasta hausle hairan nigah-e-arzu
zindagi ko ras kab aai sanam-KHanon ki baat
tirgi-e-gesu-e-hasti ka aalam kya kahen
dil hi dil mein ghuT ke rah jati hai armanon ki baat
aam hota ja raha hai qissa-e-jam-o-subu
khul rahi hai ahl-e-dil par aaj paimanon ki baat
ab nikharte ja rahe hain aariz-e-husn-e-hayat
ho rahi hai surKH-ru KHun-gashta armanon ki baat
tishnagi lau de rahi hai aarzu-e-zist ko
Dhal rahi hai aag ke shoalon mein paimanon ki baat
tirgi-e-dahr mein aish-o-tarab ki dastan
'faiz' virane mein ho jaise gulistanon ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.