kyon roiye jo nala-e-dil-e-na-rasa hua
kyoñ roiye jo nāla-e-dil-e-nā-rasā huā
ye sochiye ki jazb-e-mohabbat ko kyā huā
sūrat ye hai ki mujh meñ vo jalva-numā huā
hairat ye hai ki merī nigāhoñ ko kyā huā
puurā taqāza-e-ḳhalish-e-mudda.ā huā
jab jaan dī to farz-e-mohabbat adā huā
shāmil hai qaid-e-ishq meñ āzadiyoñ kī ruuh
ab kyā kahūñ asiir huā yā rihā huā
qaidī sahī junūn-e-tamannā ko kyā karūñ
phirtā huuñ apne dil meñ tumheñ DhūñDhtā huā
dil meñ sivā.e hasrat-e-pāmāl kuchh nahīñ
is ghar meñ ik charāġh hai vo bhī bujhā huā
saaqī ye terā ‘shāhid’-e-maḳhmūr to nahīñ
aatā hai mai-kade meñ koī jhūmtā huā
kyon roiye jo nala-e-dil-e-na-rasa hua
ye sochiye ki jazb-e-mohabbat ko kya hua
surat ye hai ki mujh mein wo jalwa-numa hua
hairat ye hai ki meri nigahon ko kya hua
pura taqaza-e-KHalish-e-muddaa hua
jab jaan di to farz-e-mohabbat ada hua
shamil hai qaid-e-ishq mein aazadiyon ki ruh
ab kya kahun asir hua ya riha hua
qaidi sahi junun-e-tamanna ko kya karun
phirta hun apne dil mein tumhein DhunDhta hua
dil mein siwae hasrat-e-pamal kuchh nahin
is ghar mein ek charagh hai wo bhi bujha hua
saqi ye tera ‘shahid’-e-maKHmur to nahin
aata hai mai-kade mein koi jhumta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.