kyon shab-o-roz isi aag mein dil jalta hai
kyoñ shab-o-roz isī aag meñ dil jaltā hai
har jagah terā nazar aanā mujhe khaltā hai
faisla pahle hī ho jaatā hai mismārī kā
hādisa haath uThāne se kahāñ Taltā hai
us kī ye baat Darātī hai mujhe andar se
rāste meñ vo mire saath nahīñ chaltā hai
ye jo sūraj hai kahīñ baa'd meñ hotā hai ġhurūb
shaam se pahle musāfir kā badan Dhaltā hai
tū nazar aa.e to kuchh der sañbhal jaatā huuñ
dil dhaḌaktā hai to kuchh kaam mirā chaltā hai
tere aane kī ḳhushī aise badaltī hai mujhe
jaise barsāt ke mausam meñ shajar phaltā hai
kyon shab-o-roz isi aag mein dil jalta hai
har jagah tera nazar aana mujhe khalta hai
faisla pahle hi ho jata hai mismari ka
hadisa hath uThane se kahan Talta hai
us ki ye baat Daraati hai mujhe andar se
raste mein wo mere sath nahin chalta hai
ye jo suraj hai kahin ba'd mein hota hai ghurub
sham se pahle musafir ka badan Dhalta hai
tu nazar aae to kuchh der sanbhal jata hun
dil dhaDakta hai to kuchh kaam mera chalta hai
tere aane ki KHushi aise badalti hai mujhe
jaise barsat ke mausam mein shajar phalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.