kyon shahr-e-dil mein tifl-e-tamanna ko pa liye
kyoñ shahr-e-dil meñ tifl-e-tamanna ko pā liye
apne har ek shauq kī pagḌī uchhāliye
tanhā bahisht-e-shauq meñ aadam hai aaj bhī
paslī se vaqt kī koī havvā nikāliye
pūchheñge pairahan ke mizāj ab lahū ke daaġh
dāman bachā.iye ki amāma sañbhāliye
milne kā ab nahīñ hai kahīñ gauhar-e-murād
dariyā meñ Dūbiye ki samundar khañgāliye
is daur-e-ḳhud-nigar meñ bhī 'shiblī' ko zid hai ye
zanjīr-e-ma.anī paañv meñ lafzoñ ke Dāliye
kyon shahr-e-dil mein tifl-e-tamanna ko pa liye
apne har ek shauq ki pagDi uchhaaliye
tanha bahisht-e-shauq mein aadam hai aaj bhi
pasli se waqt ki koi hawwa nikaliye
puchhenge pairahan ke mizaj ab lahu ke dagh
daman bachaiye ki amama sanbhaaliye
milne ka ab nahin hai kahin gauhar-e-murad
dariya mein Dubiye ki samundar khangaliye
is daur-e-KHud-nigar mein bhi 'shibli' ko zid hai ye
zanjir-e-mani panw mein lafzon ke Daliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.