kyon tajjub hai ki un ke sath diwane gae
kyoñ ta.ajjub hai ki un ke saath dīvāne ga.e
sham.a jis jānib ga.ī us samt parvāne ga.e
shaiḳh kitne pārsā haiñ aaj pahchāne ga.e
din to masjid meñ guzārā raat maiḳhāne ga.e
jab hameñ dār-o-rasan kī god meñ niiñd aa ga.ī
tab kahīñ ham ishq kī duniyā meñ pahchāne ga.e
un safīnoñ ke tasadduq un safīnoñ ko salām
chhoḌ kar sāhil jo tūfānoñ se Takrāne ga.e
azmat-e-dīvāngī ham ne kahāñ zāhir na kī
daar par bhī ham to is parcham ko lahrāne ga.e
kar diyā badnām 'nayyar' ishq ke jazbāt ne
merī ulfat ke zamāne bhar meñ afsāne ga.e
kyon tajjub hai ki un ke sath diwane gae
shama jis jaanib gai us samt parwane gae
shaiKH kitne parsa hain aaj pahchane gae
din to masjid mein guzara raat maiKHane gae
jab hamein dar-o-rasan ki god mein nind aa gai
tab kahin hum ishq ki duniya mein pahchane gae
un safinon ke tasadduq un safinon ko salam
chhoD kar sahil jo tufanon se Takrane gae
azmat-e-diwangi hum ne kahan zahir na ki
dar par bhi hum to is parcham ko lahrane gae
kar diya badnam 'nayyar' ishq ke jazbaat ne
meri ulfat ke zamane bhar mein afsane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.