kyon tark-e-wafa kar ke mujhe yaad kiya hai
![Zahoor Ambar Quraishi Zahoor Ambar Quraishi](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/zahoor-ambar-quraishi.png)
kyon tark-e-wafa kar ke mujhe yaad kiya hai
Zahoor Ambar Quraishi
MORE BYZahoor Ambar Quraishi
kyoñ tark-e-vafā kar ke mujhe yaad kiyā hai
kyā taaza sitam phir koī ījād kiyā hai
us dushman-e-jāñ ko bhī kaleje se lagāyā
jis ne mujhe har moḌ pe barbād kiyā hai
har daur meñ ġham palte rahe gosha-e-dil meñ
kab ham ne kabhī shikva-e-bedād kiyā hai
sayyād kā andāz-e-navāzish koī dekhe
par kaaT ke jis ne mujhe āzād kiyā hai
tanqīd na kar vaqt kī raftār pe 'ambar'
is ne kabhī nāshād kabhī shaad kiyā hai
kyon tark-e-wafa kar ke mujhe yaad kiya hai
kya taza sitam phir koi ijad kiya hai
us dushman-e-jaan ko bhi kaleje se lagaya
jis ne mujhe har moD pe barbaad kiya hai
har daur mein gham palte rahe gosha-e-dil mein
kab hum ne kabhi shikwa-e-bedad kiya hai
sayyaad ka andaz-e-nawazish koi dekhe
par kaT ke jis ne mujhe aazad kiya hai
tanqid na kar waqt ki raftar pe 'ambar'
is ne kabhi nashad kabhi shad kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.