kyon teri garmi-e-guftar ke qabil hota
kyon teri garmi-e-guftar ke qabil hota
Gulamullah Afsoon Bhopali
MORE BYGulamullah Afsoon Bhopali
kyoñ tirī garmī-e-guftār ke qābil hotā
mere siine hī meñ rahtā jo mirā dil hotā
shauq-e-vārafta-mizājī meñ jo kāmil hotā
merā ek ek nafas jāda-e-manzil hotā
aam honā thiiñ mohabbat kī bahāreñ varna
dard agar dard na hotā to mirā dil hotā
kaun tujh se mirī rūdād-e-mohabbat kahtā
maiñ agar sirf tamāshā.ī-e-mahfil hotā
maiñ hī kyoñ tere taġhāful kī shikāyat kartā
maiñ hī kyoñ bā.is-e-rusvā.ī-e-mahfil hotā
ḳhizr aa kar jo mirī rāhnumā.ī kartā
phir qadam apne uThānā mujhe mushkil hotā
merā paanā mirā khonā tujhe āsāñ thā magar
tujh ko kho kar tirā paanā mujhe mushkil hotā
terī maġhrūr nigāhī are tauba tauba
kaash iqrār-e-mohabbat mirā bātil hotā
rāh-e-manzil meñ tire naqsh-e-qadam bhī na mile
varna manzil pe pahuñchnā mujhe mushkil hotā
hāl-e-dil us ne kabhī mujh se na pūchhā varna
hāl-e-dil us se chhupānā mujhe mushkil hotā
tum ne achchhā hī kiyā merī taraf ruḳh na kiyā
varna mahfil se uThānā mirā mushkil hotā
ham hī tūfān se mānūs nahīñ the ‘afsūñ’
varna tūfān kā āġhosh hī sāhil hotā
kyon teri garmi-e-guftar ke qabil hota
mere sine hi mein rahta jo mera dil hota
shauq-e-warafta-mizaji mein jo kaamil hota
mera ek ek nafas jada-e-manzil hota
aam hona thin mohabbat ki bahaaren warna
dard agar dard na hota to mera dil hota
kaun tujh se meri rudad-e-mohabbat kahta
main agar sirf tamashai-e-mahfil hota
main hi kyon tere taghaful ki shikayat karta
main hi kyon bais-e-ruswai-e-mahfil hota
KHizr aa kar jo meri rahnumai karta
phir qadam apne uThana mujhe mushkil hota
mera pana mera khona tujhe aasan tha magar
tujh ko kho kar tera pana mujhe mushkil hota
teri maghrur nigahi are tauba tauba
kash iqrar-e-mohabbat mera baatil hota
rah-e-manzil mein tere naqsh-e-qadam bhi na mile
warna manzil pe pahunchna mujhe mushkil hota
haal-e-dil us ne kabhi mujh se na puchha warna
haal-e-dil us se chhupana mujhe mushkil hota
tum ne achchha hi kiya meri taraf ruKH na kiya
warna mahfil se uThana mera mushkil hota
hum hi tufan se manus nahin the ‘afsun’
warna tufan ka aaghosh hi sahil hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.