kyon tujhse koi rah sujhai nahin jati
kyon tujhse koi rah sujhai nahin jati
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
kyoñ tujh se koī raah sujhā.ī nahīñ jaatī
hālat mirī aisī hai dikhā.ī nahīñ jaatī
aflāk meñ maujūd ho jis samt bhī vo shaḳhs
ḳhushbū kisī aalam meñ chhupā.ī nahīñ jaatī
ye ishq hai aur ishq meñ jab āḳhirī had ho
phir jitnī bhī pūñjī ho bachā.ī nahīñ jaatī
vahshat unheñ asbāq paḌhā detī hai saare
dīvānoñ ko tahzīb sikhā.ī nahīñ jaatī
mumkin hai bhaḌak jaa.e merā sho.ala-e-bātin
ab mujh se mirī aag dabā.ī nahīñ jaatī
ham ḳhāk-nashīñ mauj meñ har pal nahīñ hote
har roz yahāñ bazm sajā.ī nahīñ jaatī
jis tarah se din-rāt kamāne meñ lagā huuñ
vahshat kabhī is taur kamā.ī nahīñ jaatī
kyā ilm ye kaḌvāhaTeñ aa.ī haiñ kahāñ se
'jāmī' ye mirī talḳh-navā.ī nahīñ jaatī
kyon tujh se koi rah sujhai nahin jati
haalat meri aisi hai dikhai nahin jati
aflak mein maujud ho jis samt bhi wo shaKHs
KHushbu kisi aalam mein chhupai nahin jati
ye ishq hai aur ishq mein jab aaKHiri had ho
phir jitni bhi punji ho bachai nahin jati
wahshat unhen asbaq paDha deti hai sare
diwanon ko tahzib sikhai nahin jati
mumkin hai bhaDak jae mera shoala-e-baatin
ab mujh se meri aag dabai nahin jati
hum KHak-nashin mauj mein har pal nahin hote
har roz yahan bazm sajai nahin jati
jis tarah se din-raat kamane mein laga hun
wahshat kabhi is taur kamai nahin jati
kya ilm ye kaDwahaTen aai hain kahan se
'jami' ye meri talKH-nawai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.