kyon tum rishte-nate aur wo sath nibhana bhul gae
kyon tum rishte-nate aur wo sath nibhana bhul gae
Mayank Akbarabadi
MORE BYMayank Akbarabadi
kyoñ tum rishte-nāte aur vo saath nibhānā bhuul ga.e
aisī bhī kyā baat huī ghar ānā-jānā bhuul ga.e
kuchh to baat huī hogī jo is darja nārāz ho tum
saath tumhāre phuul chaman ke hañsnā hañsānā bhuul ga.e
umr ke saath badalte rishte tum ko bahut mubārak hoñ
lekin tum bachpan kā apne guzrā zamāna bhuul ga.e
paas tumhāre ab nahīñ aate bhauñre ban kar dil vaale
jab se apne juuḌe meñ tum phuul sajānā bhuul ga.e
bachpan biitā aa.ī javānī umr huī rasmoñ meñ qaid
aur ham donoñ chāñd kī jānib haath baḌhānā bhuul ga.e
nīñdoñ ne to mujh se kab kā rishta toḌ liyā lekin
tum bhī to rātoñ meñ milne ānā-jānā bhuul ga.e
dekho ye ilzām ġhalat hai nazreñ churātā tum se 'mayank'
tum bhī to vo sharm-o-hayā se nazreñ jhukānā bhuul ga.e
kyon tum rishte-nate aur wo sath nibhana bhul gae
aisi bhi kya baat hui ghar aana-jaana bhul gae
kuchh to baat hui hogi jo is darja naraaz ho tum
sath tumhaare phul chaman ke hansna hansana bhul gae
umr ke sath badalte rishte tum ko bahut mubarak hon
lekin tum bachpan ka apne guzra zamana bhul gae
pas tumhaare ab nahin aate bhaunre ban kar dil wale
jab se apne juDe mein tum phul sajaana bhul gae
bachpan bita aai jawani umr hui rasmon mein qaid
aur hum donon chand ki jaanib hath baDhana bhul gae
nindon ne to mujh se kab ka rishta toD liya lekin
tum bhi to raaton mein milne aana-jaana bhul gae
dekho ye ilzam ghalat hai nazren churaata tum se 'mayank'
tum bhi to wo sharm-o-haya se nazren jhukana bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.