kyon ulajhte hain miyan ishq ke bimaron se
kyoñ ulajhte haiñ miyāñ ishq ke bīmāroñ se
haath jal jā.eñge mat kheliye angāroñ se
qaid-e-hastī se milegī mujhe kab jaane najāt
kab talak phoḌūñgā sar jism kī dīvāroñ se
sāhab-e-jubba-o-dastār se to kuchh na huā
ai ḳhudā kaam koī le le gunahgāroñ se
aap dīvār se lag jaa.eñ na ġhaflat meñ kahīñ
aap hushiyār raheñ hāshiya-bardāroñ se
baat jaa.ez bhī agar hai to nahīñ mānte haiñ
mujh ko shikva hai yahī un ke taraf-dāroñ se
hasrateñ huuk bahut dil meñ uThātī haiñ 'vasīm'
ho ke māyūs palaT aatā huuñ bāzāroñ se
kyon ulajhte hain miyan ishq ke bimaron se
hath jal jaenge mat kheliye angaron se
qaid-e-hasti se milegi mujhe kab jaane najat
kab talak phoDunga sar jism ki diwaron se
sahab-e-jubba-o-dastar se to kuchh na hua
ai KHuda kaam koi le le gunahgaron se
aap diwar se lag jaen na ghaflat mein kahin
aap hushiyar rahen hashiya-bardaron se
baat jaez bhi agar hai to nahin mante hain
mujh ko shikwa hai yahi un ke taraf-daron se
hasraten huk bahut dil mein uThati hain 'wasim'
ho ke mayus palaT aata hun bazaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.