kyon un ke sitam ne kiya paband-e-wafa aur
kyon un ke sitam ne kiya paband-e-wafa aur
Aashufta Shahjahanpuri
MORE BYAashufta Shahjahanpuri
kyoñ un ke sitam ne kiyā pāband-e-vafā aur
is raaz kā mahram hī nahīñ dil ke sivā aur
ye jaur-o-jafā hai to kareñ jaur-o-jafā aur
is se to baḌhā hausla-e-zauq-e-vafā aur
ishvoñ ne badal dī dil-e-betāb kī fitrat
har lamha taqāza hai sitam aur jafā aur
kis samt ḳhudā jaane ye dil le ke chalā hai
is raah meñ ab koī nahīñ apne sivā aur
shāmil to huuñ 'āshufta' maiñ us bazm meñ lekin
naġhmoñ kī sadā aur hai nāloñ kī sadā aur
kyon un ke sitam ne kiya paband-e-wafa aur
is raaz ka mahram hi nahin dil ke siwa aur
ye jaur-o-jafa hai to karen jaur-o-jafa aur
is se to baDha hausla-e-zauq-e-wafa aur
ishwon ne badal di dil-e-betab ki fitrat
har lamha taqaza hai sitam aur jafa aur
kis samt KHuda jaane ye dil le ke chala hai
is rah mein ab koi nahin apne siwa aur
shamil to hun 'ashufta' main us bazm mein lekin
naghmon ki sada aur hai nalon ki sada aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.