kyon uThi ruKH se naqab KHub samajhte hain hum
kyoñ uThī ruḳh se naqāb ḳhuub samajhte haiñ ham
kyoñ ḳhajil hai āftāb ḳhuub samajhte haiñ ham
ātishīñ ruḳh se huzūr phuuT rahī hai kiran
garmī-e-roz-e-hisāb ḳhuub samajhte haiñ ham
ye jahān-e-rang-o-bū aap kā parda bane
kaun hai zer-e-naqāb ḳhuub samajhte haiñ ham
raat vo rashk-e-qamar mahv-e-ḳhud-ārā.ī thā
chāñd thā kyoñ aab aab ḳhuub samajhte haiñ ham
kyon uThi ruKH se naqab KHub samajhte hain hum
kyon KHajil hai aaftab KHub samajhte hain hum
aatishin ruKH se huzur phuT rahi hai kiran
garmi-e-roz-e-hisab KHub samajhte hain hum
ye jahan-e-rang-o-bu aap ka parda bane
kaun hai zer-e-naqab KHub samajhte hain hum
raat wo rashk-e-qamar mahw-e-KHud-arai tha
chand tha kyon aab aab KHub samajhte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.