kyon yaad na aaen mujhe us yar ki baaten
kyoñ yaad na aa.eñ mujhe us yaar kī bāteñ
ham se jo sadā kartā rahā pyaar kī bāteñ
haañ baat to jab hai ki mileñ hañs ke hamesha
yuuñ ishq meñ hotī nahīñ takrār kī bāteñ
āñkhoñ se ye zāhir hai mohabbat hai tumheñ bhī
inkār meñ poshīda haiñ iqrār kī bāteñ
jo mujh pe guzartī hai judā.ī meñ tumhārī
kyā tum se batā.ūñ maiñ dil-e-zār kī bāteñ
'ramman' jo satātā hai zamāna to satā.e
ham par yahī lāzim hai kareñ pyaar kī bāteñ
kyon yaad na aaen mujhe us yar ki baaten
hum se jo sada karta raha pyar ki baaten
han baat to jab hai ki milen hans ke hamesha
yun ishq mein hoti nahin takrar ki baaten
aankhon se ye zahir hai mohabbat hai tumhein bhi
inkar mein poshida hain iqrar ki baaten
jo mujh pe guzarti hai judai mein tumhaari
kya tum se bataun main dil-e-zar ki baaten
'ramman' jo satata hai zamana to satae
hum par yahi lazim hai karen pyar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.