Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon ye andesha jaane wala nahin

Faysal sahib

kyon ye andesha jaane wala nahin

Faysal sahib

MORE BYFaysal sahib

    kyoñ ye andesha jaane vaalā nahīñ

    lauT kar bhī aane vaalā nahīñ

    ham ne paale haiñ aise saare ġham

    jin koī kamāne vaalā nahīñ

    sāmne jaao jis ne jaanā hai

    maiñ diye ko bujhāne vaalā nahīñ

    gidh ne is baat par kiye sajde

    koī lāsha uThāne vaalā nahīñ

    maiñ burā sahī magar vā'iz

    terī bātoñ meñ aane vaalā nahīñ

    kisī aur ko du'ā de de

    maiñ murādoñ ko paane vaalā nahīñ

    kyon ye andesha jaane wala nahin

    lauT kar tu bhi aane wala nahin

    hum ne pale hain aise sare gham

    jin ka koi kamane wala nahin

    samne jao jis ne jaana hai

    main diye ko bujhane wala nahin

    gidh ne is baat par kiye sajde

    koi lasha uThane wala nahin

    main bura hi sahi magar wa'iz

    teri baaton mein aane wala nahin

    ja kisi aur ko du'a de de

    main muradon ko pane wala nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now