kyun chhupate ho kidhar jaana hai
kyuuñ chhupāte ho kidhar jaanā hai
dasht se kah do ki ghar jaanā hai
mujh meñ bhī pahle uTheñge tūfāñ
phir ḳhamoshī ko pasar jaanā hai
koī kahtā hai ki maiñ malba huuñ
kisī ne mujh ko khañDar jaanā hai
ḳhaak to ḳhaak pe aa baiThegī
ḳhaak ko uḌ ke kidhar jaanā hai
us kī nādānī to dekho 'āzar'
phir se dīvār ko dar jaanā hai
kyun chhupate ho kidhar jaana hai
dasht se kah do ki ghar jaana hai
mujh mein bhi pahle uThenge tufan
phir KHamoshi ko pasar jaana hai
koi kahta hai ki main malba hun
kisi ne mujh ko khanDar jaana hai
KHak to KHak pe aa baiThegi
KHak ko uD ke kidhar jaana hai
us ki nadani to dekho 'azar'
phir se diwar ko dar jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.