kyun ghalat rah se bachaya na gaya
kyuuñ ġhalat rah se bachāyā na gayā
jaane kyuuñ moḌ ke laayā na gayā
mānñe vaalā mirī bātoñ ko
jaane kyuuñ mujh se manāyā na gayā
sar-phirī tez havā ke hote
diip ulfat kā bujhāyā na gayā
ruuh par sabt huā vo aisā
phir kabhī mujh se miTāyā na gayā
kaT gayā peḌ to āñgan kā magar
mere sar se kabhī saaya na gayā
jab bhī 'jāzib' vo huā ham-āvāz
giit mujh se koī gaayā na gayā
kyun ghalat rah se bachaya na gaya
jaane kyun moD ke laya na gaya
manne wala meri baaton ko
jaane kyun mujh se manaya na gaya
sar-phiri tez hawa ke hote
dip ulfat ka bujhaya na gaya
ruh par sabt hua wo aisa
phir kabhi mujh se miTaya na gaya
kaT gaya peD to aangan ka magar
mere sar se kabhi saya na gaya
jab bhi 'jazib' wo hua ham-awaz
git mujh se koi gaya na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.