kyun har taraf tu KHwar hua ehtisab kar
kyuuñ har taraf tū ḳhvār huā ehtisāb kar
nārāz kyuuñ hai tujh se ḳhudā ehtisāb kar
hāsil to ho ga.iiñ tujhe saarī sahūlateñ
rizq-e-halāl kitnā milā ehtisāb kar
har din kuredtā hai tū apne hī zaḳhm ko
kyā hai yahī maraz kī davā ehtisāb kar
kab tak rahegā raushnī ke intizār meñ
jaltā nahīñ hai ḳhud se diyā ehtisāb kar
gumnām ho gayā hai tū apnī hī bazm meñ
kin ġhalatiyoñ kī hai ye sazā ehtisāb kar
apne kiye-dhare kā ab 'ahyā' hisāb kar
duniyā milī ki diin milā ehtisāb kar
kyun har taraf tu KHwar hua ehtisab kar
naraaz kyun hai tujh se KHuda ehtisab kar
hasil to ho gain tujhe sari sahulaten
rizq-e-halal kitna mila ehtisab kar
har din kuredta hai tu apne hi zaKHm ko
kya hai yahi maraz ki dawa ehtisab kar
kab tak rahega raushni ke intizar mein
jalta nahin hai KHud se diya ehtisab kar
gumnam ho gaya hai tu apni hi bazm mein
kin ghalatiyon ki hai ye saza ehtisab kar
apne kiye-dhare ka ab 'ahya' hisab kar
duniya mili ki din mila ehtisab kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.