kyun ho bahana-ju na qaza sar se panw tak
kyuuñ ho bahāna-jū na qazā sar se paañv tak
zālim meñ aap kī hai adā sar se paañv tak
sākit haiñ ba.ad-e-marg qavā sar se paañv tak
mohreñ lagā ga.ī hai qazā sar se paañv tak
ghere thī tujh ko barq-adā sar se paañv tak
kyuuñ naḳhl-e-tūr jal na gayā sar se paañv tak
zanjīr ban ga.ī hai qazā sar se paañv tak
goyā rageñ haiñ dām-e-balā sar se paañv tak
maiñ ḳhud zabān-e-shukr banā sar se paañv tak
Duube na kyuuñ asar meñ duā sar se paañv tak
muñh chāñd us pe zulf-e-rasā sar se paañv tak
kyuuñ loT-poT ho na adā sar se paañv tak
qāsid kahe gayā mirī zardī-e-ruḳh kā haal
is dāstāñ ko ḳhuub rañgā sar se paañv tak
ai sham.a tujh se saaf maiñ kahtā huuñ dil kā haal
jalnā hī thā to jal na gayā sar se paañv tak
shāyad sabā ḳhizāñ kā fasāna sunā ga.ī
har naḳhl-e-bāġh kaañp gayā sar se paañv tak
dariyā-e-ishq meñ mujhe rakhnā na thā qadam
Duubā to ḳhuub Duub gayā sar se paañv tak
lī naḳhl-e-tūr kī na ḳhabar tum ne ai kalīm
tum dekhte rahe vo jalā sar se paañv tak
āġhāz hī meñ aap ne kar dī zabān band
qissa hamārā sun na liyā sar se paañv tak
phailā.eñ yā na haath ko phailā.eñ sharm se
dast-e-talab haiñ tere gadā sar se paañv tak
terā kahāñ jamāl kahāñ jalva-gāh-e-tūr
muusā ne phir na dekh liyā sar se paañv tak
allāh 'shād' ġhair kī ye aib-jūiyāñ
tū ḳhud pe kar nigāh zarā sar se paañv tak
kyun ho bahana-ju na qaza sar se panw tak
zalim mein aap ki hai ada sar se panw tak
sakit hain baad-e-marg qawa sar se panw tak
mohren laga gai hai qaza sar se panw tak
ghere thi tujh ko barq-ada sar se panw tak
kyun naKHl-e-tur jal na gaya sar se panw tak
zanjir ban gai hai qaza sar se panw tak
goya ragen hain dam-e-bala sar se panw tak
main KHud zaban-e-shukr bana sar se panw tak
Dube na kyun asar mein dua sar se panw tak
munh chand us pe zulf-e-rasa sar se panw tak
kyun loT-poT ho na ada sar se panw tak
qasid kahe gaya meri zardi-e-ruKH ka haal
is dastan ko KHub ranga sar se panw tak
ai shama tujh se saf main kahta hun dil ka haal
jalna hi tha to jal na gaya sar se panw tak
shayad saba KHizan ka fasana suna gai
har naKHl-e-bagh kanp gaya sar se panw tak
dariya-e-ishq mein mujhe rakhna na tha qadam
Duba to KHub Dub gaya sar se panw tak
li naKHl-e-tur ki na KHabar tum ne ai kalim
tum dekhte rahe wo jala sar se panw tak
aaghaz hi mein aap ne kar di zaban band
qissa hamara sun na liya sar se panw tak
phailaen ya na hath ko phailaen sharm se
dast-e-talab hain tere gada sar se panw tak
tera kahan jamal kahan jalwa-gah-e-tur
musa ne phir na dekh liya sar se panw tak
allah 'shad' ghair ki ye aib-juiyan
tu KHud pe kar nigah zara sar se panw tak
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 206)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.