kyun-kar kahun aahon mein meri be-asari hai
kyūñ-kar kahūñ aahoñ meñ mirī be-asarī hai
jab dekh rahā huuñ ki in āñkhoñ meñ tarī hai
paiġhām-e-bahārāñ na do ai ahl-e-gulistāñ
dīvānoñ kī qismat hī meñ jab dar-ba-darī hai
vo ahl-e-ḳhirad haiñ jo badalte haiñ bahar-gām
ab bhī vahī dīvāne vahī jāma-darī hai
lāzim hai ki maġhrūr na ho ‘aish-e-baqā par
ai dost zamāne meñ har insāñ saqarī hai
aġhyār to vāqif haiñ mire haal se lekin
afsos mire ġham se unheñ be-ḳhabarī hai
uThte hī nazar hosh kī mahfil huī barham
ai dost qayāmat hai ki ye ‘ishva-garī hai
maiñ kyoñ rahūñ mahrūm gul-e-dāġh-e-jigar se
jab un kī jafāoñ kī har ik shāḳh harī hai
ḳhud hī kabhī nālāñ kabhī barham kabhī bad-zan
ye mashġhala-e-'ishq 'ajab dard-e-sarī hai
duniyā kī bahāroñ pe 'abas naaz hai ai dil
har chiiz yahāñ misl-e-charāġh-e-saharī hai
'ishrat' kare tārīḳh na kyoñ naaz hamīñ par
ham jaisā zamāne meñ kahāñ koī jarī hai
kyun-kar kahun aahon mein meri be-asari hai
jab dekh raha hun ki in aankhon mein tari hai
paigham-e-bahaaran na do ai ahl-e-gulistan
diwanon ki qismat hi mein jab dar-ba-dari hai
wo ahl-e-KHirad hain jo badalte hain bahar-gam
ab bhi wahi diwane wahi jama-dari hai
lazim hai ki maghrur na ho ‘aish-e-baqa par
ai dost zamane mein har insan saqari hai
aghyar to waqif hain mere haal se lekin
afsos mere gham se unhen be-KHabari hai
uThte hi nazar hosh ki mahfil hui barham
ai dost qayamat hai ki ye ‘ishwa-gari hai
main kyon rahun mahrum gul-e-dagh-e-jigar se
jab un ki jafaon ki har ek shaKH hari hai
KHud hi kabhi nalan kabhi barham kabhi bad-zan
ye mashghala-e-'ishq 'ajab dard-e-sari hai
duniya ki bahaaron pe 'abas naz hai ai dil
har chiz yahan misl-e-charagh-e-sahari hai
'ishrat' kare tariKH na kyon naz hamin par
hum jaisa zamane mein kahan koi jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.