kyun karte ho etibar mera
kyuuñ karte ho e'tibār merā
ma.alūm hai tum ko pyaar merā
ye ḳhair hai aaj kuchh to kahiye
kyuuñ zikr hai baar baar merā
ik baat meñ faisla hai tum se
ranjīda hai dil hazār merā
terā nahīñ e'tibār mujh ko
tū bhī na kar e'tibār merā
shāyad ki na ho tum apne bas ke
dil par to hai iḳhtiyār merā
mujh ko na ho rashk ġhair-mumkin
tū aur ho dost-dār merā
kuchh samjhe hue haiñ apne dil meñ
sunte nahīñ hāl-e-zār merā
vo haa.e bigaḌ ke us kā jaanā
ronā vahīñ zār-zār merā
kal tak to 'nizām' ye na thā haal
dil aaj hai be-qarār merā
kyun karte ho e'tibar mera
malum hai tum ko pyar mera
ye KHair hai aaj kuchh to kahiye
kyun zikr hai bar bar mera
ek baat mein faisla hai tum se
ranjida hai dil hazar mera
tera nahin e'tibar mujh ko
tu bhi na kar e'tibar mera
shayad ki na ho tum apne bas ke
dil par to hai iKHtiyar mera
mujh ko na ho rashk ghair-mumkin
tu aur ho dost-dar mera
kuchh samjhe hue hain apne dil mein
sunte nahin haal-e-zar mera
wo hae bigaD ke us ka jaana
rona wahin zar-zar mera
kal tak to 'nizam' ye na tha haal
dil aaj hai be-qarar mera
- Book : Noquush (Pg. B-296 E-312)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.