kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz
kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz
Munshi Amirullah Tasleem
MORE BYMunshi Amirullah Tasleem
kyuuñ ḳharābāt meñ lāf-e-hama-dānī vā'iz
kaun suntā hai tirī harzā-bayānī vā'iz
daftar-e-va.az ke nuqte bhī na hoñge itne
jitne haiñ dil meñ mire dāġh-e-nihānī vā'iz
sach sahī jannat-o-dozaḳh kā fasāna lekin
kis tarah maan luuñ maiñ terī zabānī vā'iz
be-vuzū pā-e-ḳhum-e-bāda ko chhū letā hai
ḳhaak aatī hai tujhe martaba-dānī vā'iz
narm bhī dil suḳhan-e-garm se ab tak na huā
dekh lī ham ne tirī sho'la-bayānī vā'iz
nek-o-bad ḳhuub samajhtā huuñ karūñ kyā ki abhī
sunñe detā nahīñ āshob-e-javānī vā'iz
rindī-o-zohd riyā.ī meñ haiñ donoñ yaktā
misl merā hai na terā koī saanī vā'iz
ye ḳharābāt hai jā ḳhair se apne ghar ko
muñh kī khulvā.e na phir tez-zabānī vā'iz
aaj samjhā ga.ī kyā tujh ko 'ibādat terī
na rahā mashġhala-e-ashk-fishānī vā'iz
is qadar hai jo dam-e-naza.a havas duniyā kī
saath le jā.egā kyā ālam-e-fānī vā'iz
riñd huuñ de mujhe jām-e-mai-e-at.har kī ḳhabar
tujh ko kausar kā mubārak rahe paanī vā'iz
zard ho jaatā hai sun kar ruḳh-e-gulgūñ merā
tirī taqrīr hai yā bād-e-ḳhizānī vā'iz
naqsha firdaus kā bātoñ meñ dikhā detā hai
ye zabāñ hai tirī yā ḳhāma-e-mānī vā'iz
chalte phirte nahīñ be-vaj.h ye ronā merā
saath phirtā huuñ liye ġham kī nishānī vā'iz
kyā ruke ḳhāma-e-'taslīm' dam-e-fikr-e-suḳhan
tab' meñ aaj hai dariyā kī ravānī vā'iz
kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani wa'iz
kaun sunta hai teri harza-bayani wa'iz
daftar-e-waz ke nuqte bhi na honge itne
jitne hain dil mein mere dagh-e-nihani wa'iz
sach sahi jannat-o-dozaKH ka fasana lekin
kis tarah man lun main teri zabani wa'iz
be-wuzu pa-e-KHum-e-baada ko chhu leta hai
KHak aati hai tujhe martaba-dani wa'iz
narm bhi dil suKHan-e-garm se ab tak na hua
dekh li hum ne teri sho'la-bayani wa'iz
nek-o-bad KHub samajhta hun karun kya ki abhi
sunne deta nahin aashob-e-jawani wa'iz
rindi-o-zohd riyai mein hain donon yakta
misl mera hai na tera koi sani wa'iz
ye KHarabaat hai ja KHair se apne ghar ko
munh ki khulwae na phir tez-zabani wa'iz
aaj samjha gai kya tujh ko 'ibaadat teri
na raha mashghala-e-ashk-fishani wa'iz
is qadar hai jo dam-e-naza hawas duniya ki
sath le jaega kya aalam-e-fani wa'iz
rind hun de mujhe jam-e-mai-e-athar ki KHabar
tujh ko kausar ka mubarak rahe pani wa'iz
zard ho jata hai sun kar ruKH-e-gulgun mera
teri taqrir hai ya baad-e-KHizani wa'iz
naqsha firdaus ka baaton mein dikha deta hai
ye zaban hai teri ya KHama-e-mani wa'iz
chalte phirte nahin be-wajh ye rona mera
sath phirta hun liye gham ki nishani wa'iz
kya ruke KHama-e-'taslim' dam-e-fikr-e-suKHan
tab' mein aaj hai dariya ki rawani wa'iz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.