kyun pareshan ai dil-e-nakaam hai
kyuuñ pareshāñ ai dil-e-nākām hai
zindagī majbūriyoñ kā naam hai
kyā mohabbat kā yahī paiġhām hai
aañkh se dil tak sukūt-e-shām hai
tujh se āzurda dil-e-nākām hai
phir bhī terā hī laboñ par naam hai
bhāgte duniyā ke pīchhe kab talak
chhoḌ kar duniyā bahut ārām hai
ho chukīñ bad-nāmiyāñ barbādiyāñ
ab nigāh-e-nāz kyā paiġhām hai
aap aa.e aur aa kar chal diye
ruuh meñ ab tak vahī kohrām hai
jaag uThtā hai shu.ūr-e-zindagī
kaise kahiye ishq jins-e-ḳhām hai
kuchh mohabbat aur kuchh nafrat unheñ
is ta.alluq kā bhī koī naam hai
Dūbte dil meñ mire terā ḳhayāl
jhilmilātā sā charāġh-e-shām hai
ḳhud ḳharābī DhūñDhtī hai zindagī
aap par us kā ġhalat ilzām hai
in dinoñ chup chup se rahte ho 'shahāb'
kuchh kaho to kyā ḳhayāl-e-ḳhām hai
kyun pareshan ai dil-e-nakaam hai
zindagi majburiyon ka nam hai
kya mohabbat ka yahi paigham hai
aankh se dil tak sukut-e-sham hai
tujh se aazurda dil-e-nakaam hai
phir bhi tera hi labon par nam hai
bhagte duniya ke pichhe kab talak
chhoD kar duniya bahut aaram hai
ho chukin bad-namiyan barbaadiyan
ab nigah-e-naz kya paigham hai
aap aae aur aa kar chal diye
ruh mein ab tak wahi kohram hai
jag uThta hai shuur-e-zindagi
kaise kahiye ishq jins-e-KHam hai
kuchh mohabbat aur kuchh nafrat unhen
is talluq ka bhi koi nam hai
Dubte dil mein mere tera KHayal
jhilmilata sa charagh-e-sham hai
KHud KHarabi DhunDhti hai zindagi
aap par us ka ghalat ilzam hai
in dinon chup chup se rahte ho 'shahab'
kuchh kaho to kya KHayal-e-KHam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.