kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane
kyuuñ pareshān huā jaatā hai dil kyā jaane
kaisā pāgal hai ki paanī ko bhī sahrā jaane
maiñ vo āvāra ki bādal bhī ḳhafā haiñ mujh se
tū zamāne ko bhī Thahrā huā lamha jaane
dhuup kī gard fazāoñ meñ diloñ meñ tābūt
har nafas ḳhud ko bas ik aag kā dariyā jaane
os kī buuñd bhī ab sañg-sifat lagtī hai
phuul ke baaġh ko dil aag kā dariyā jaane
raat patthar meñ Dhalī chāñd bhī kaalā niklā
aise manzar ko bhī ab aañkh tamāshā jaane
be-sadā gumbad-e-ehsās huā mohr-ba-lab
phuul ke dard kā qissa koī kāñTā jaane
din kī ḳhandaq kā dhuāñ shahr se aage bhī gayā
kis tarah ghar kā pata koī parinda jaane
kyun pareshan hua jata hai dil kya jaane
kaisa pagal hai ki pani ko bhi sahra jaane
main wo aawara ki baadal bhi KHafa hain mujh se
tu zamane ko bhi Thahra hua lamha jaane
dhup ki gard fazaon mein dilon mein tabut
har nafas KHud ko bas ek aag ka dariya jaane
os ki bund bhi ab sang-sifat lagti hai
phul ke bagh ko dil aag ka dariya jaane
raat patthar mein Dhali chand bhi kala nikla
aise manzar ko bhi ab aankh tamasha jaane
be-sada gumbad-e-ehsas hua mohr-ba-lab
phul ke dard ka qissa koi kanTa jaane
din ki KHandaq ka dhuan shahr se aage bhi gaya
kis tarah ghar ka pata koi parinda jaane
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 205)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.