kyun yaqin rakkhen KHayal-o-KHwab par
kyuuñ yaqīñ rakkheñ ḳhayāl-o-ḳhvāb par
jam na jaa.e gard-e-ġham a.asāb par
pīTte rahnā lakīreñ hai abas
ġhaur karnā chāhiye asbāb par
likh rahā hai raushnī kī dāstāñ
ik diyā jaltā huā mehrāb par
apne dukh kā mājrā chheḌā nahīñ
ye mirā ehsān hai ahbāb par
tum bhī duniyā vāloñ jaise ho ga.e
paḌ ga.ī thī kyā nazar surḳhāb par
kashtiyāñ 'rūmī' Dubote ham rahe
tohmateñ lagtī raheñ girdāb par
kyun yaqin rakkhen KHayal-o-KHwab par
jam na jae gard-e-gham aasab par
piTte rahna lakiren hai abas
ghaur karna chahiye asbab par
likh raha hai raushni ki dastan
ek diya jalta hua mehrab par
apne dukh ka majra chheDa nahin
ye mera ehsan hai ahbab par
tum bhi duniya walon jaise ho gae
paD gai thi kya nazar surKHab par
kashtiyan 'rumi' Dubote hum rahe
tohmaten lagti rahen girdab par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.