kyunkar na apni jaan bachaen guphaon mein
kyūñkar na apnī jaan bachā.eñ guphāoñ meñ
talvār jaisī kaaT hai bhīgī havāoñ meñ
bas tum hī rah ga.e ho rivāyat ke pāsdār
itnā ḳhulūs ab kahāñ miltā hai gaañv meñ
logoñ kī shafqatoñ meñ hai koī ġharaz zarūr
lekin ġharaz nahīñ koī maañ kī du'āoñ meñ
shāyad tumhārī qābiliyat daad le sake
tā’līm-yāfta haiñ bahut mere gaañv meñ
jī chāhtā hai kaaT duuñ sāñsoñ kā ye rasan
lekin paḌī hai farz kī zanjīr paañv meñ
'kausar' salā-e-fikr hai har fard ke liye
kyoñ aaj āftāb hai kaalī ghaTāoñ meñ
kyunkar na apni jaan bachaen guphaon mein
talwar jaisi kaT hai bhigi hawaon mein
bas tum hi rah gae ho riwayat ke pasdar
itna KHulus ab kahan milta hai ganw mein
logon ki shafqaton mein hai koi gharaz zarur
lekin gharaz nahin koi man ki du'aon mein
shayad tumhaari qabiliyat dad le sake
ta’lim-yafta hain bahut mere ganw mein
ji chahta hai kaT dun sanson ka ye rasan
lekin paDi hai farz ki zanjir panw mein
'kausar' sala-e-fikr hai har fard ke liye
kyon aaj aaftab hai kali ghaTaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.