kyunkar rakhun aziz na tir-e-nazar ko main
kyunkar rakhun aziz na tir-e-nazar ko main
Mohammad Mirza Wasif Rudaulvi
MORE BYMohammad Mirza Wasif Rudaulvi
kyūñkar rakhūñ aziiz na tīr-e-nazar ko maiñ
rakhtā huuñ dost lazzat-e-dard-e-jigar ko maiñ
aatā hai ye ḳhayāl ki vo bad-gumāñ na ho
kyā zaḳhm-e-dil dikhā.ūñ bhalā chāra-gar ko maiñ
hastī meñ to patā na chalā kyā huuñ kaun huuñ
jaatā huuñ ab adam meñ ḳhud apnī ḳhabar ko maiñ
dil luT gayā mirā na huī kuchh ḳhabar mujhe
batlā.ūñ kis zabāñ se nigah ke asar ko maiñ
ġhālib nahīñ chalūñ jo har ik tez-ro ke saath
pahchāntā huuñ apne har ik rāhbar ko maiñ
merī tarah hai ye bhī koī dam kī mehmāñ
kyūñkar na ro.uuñ dekh ke sham-e-sahar ko maiñ
kyunkar rakhun aziz na tir-e-nazar ko main
rakhta hun dost lazzat-e-dard-e-jigar ko main
aata hai ye KHayal ki wo bad-guman na ho
kya zaKHm-e-dil dikhaun bhala chaara-gar ko main
hasti mein to pata na chala kya hun kaun hun
jata hun ab adam mein KHud apni KHabar ko main
dil luT gaya mera na hui kuchh KHabar mujhe
batlaun kis zaban se nigah ke asar ko main
ghaalib nahin chalun jo har ek tez-ro ke sath
pahchanta hun apne har ek rahbar ko main
meri tarah hai ye bhi koi dam ki mehman
kyunkar na roun dekh ke sham-e-sahar ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.