kyunkar shikar-e-husn na khelen yahan ke log
kyūñkar shikār-e-husn na kheleñ yahāñ ke log
pariyoñ ko phāñs lete haiñ hindostāñ ke log
aapas meñ ek dūsre se āshnā nahīñ
zer-e-zamīñ bhare haiñ ilāhī kahāñ ke log
bāġh-e-jahāñ se jaate nahīñ jānib-e-bahisht
nāhaq tamāñche khāte haiñ bād-e-ḳhizāñ ke log
shahr-e-vafā kā sajda-e-shukrāna hai yahī
patthar se sar paTakte haiñ shahr-e-butāñ ke log
zunnār se hai kam rag-e-jāñ jis ke sāmne
bande hue haiñ us but-e-nā-mehrbāñ ke log
apnī ḳhabar le auroñ se kyā kaam ai 'munīr'
kis kā zamāna kaun sī bastī kahāñ ke log
kyunkar shikar-e-husn na khelen yahan ke log
pariyon ko phans lete hain hindostan ke log
aapas mein ek dusre se aashna nahin
zer-e-zamin bhare hain ilahi kahan ke log
bagh-e-jahan se jate nahin jaanib-e-bahisht
nahaq tamanche khate hain baad-e-KHizan ke log
shahr-e-wafa ka sajda-e-shukrana hai yahi
patthar se sar paTakte hain shahr-e-butan ke log
zunnar se hai kam rag-e-jaan jis ke samne
bande hue hain us but-e-na-mehrban ke log
apni KHabar le auron se kya kaam ai 'munir'
kis ka zamana kaun si basti kahan ke log
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 141)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.