la haqiqat mein badal dun agle afsanon ko main
la haqiqat mein badal dun agle afsanon ko main
Wahid Jamal Kiratpuri
MORE BYWahid Jamal Kiratpuri
lā haqīqat meñ badal duuñ agle afsānoñ ko maiñ
apne sheroñ meñ piro luuñ terī muskānoñ ko maiñ
titliyoñ ke pañkh kyā aa.e qayāmat aa ga.ī
kis jagah mahfūz rakkhūñ apne gul-dānoñ ko maiñ
gūñjtī haiñ jin meñ ablāoñ kī chīḳheñ rāt-bhar
munhadim kar ke rahūñgā aise aivānoñ ko maiñ
gardishoñ ne kar diyā dil ko atā vo hausla
maat de dūñgā yaqīnan ġham ke tūfānoñ ko maiñ
merī ġhazleñ ab mirī pahchān bantī jā.eñgī
ḳhūn-e-dil se likh rahā huuñ ġham ke afsānoñ ko maiñ
jaise maañ bahlā rahī ho bhūke bachchoñ ko 'jamāl'
yuuñ dilāse de rahā huuñ apne armānoñ ko maiñ
la haqiqat mein badal dun agle afsanon ko main
apne sheron mein piro lun teri muskanon ko main
titliyon ke pankh kya aae qayamat aa gai
kis jagah mahfuz rakkhun apne gul-danon ko main
gunjti hain jin mein ablaon ki chiKHen raat-bhar
munhadim kar ke rahunga aise aiwanon ko main
gardishon ne kar diya dil ko ata wo hausla
mat de dunga yaqinan gham ke tufanon ko main
meri ghazlen ab meri pahchan banti jaengi
KHun-e-dil se likh raha hun gham ke afsanon ko main
jaise man bahla rahi ho bhuke bachchon ko 'jamal'
yun dilase de raha hun apne armanon ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.