la la mujhe bhar ke de piyala
lā lā mujhe bhar ke de piyāla
hai jām-ba-kaf chaman meñ laalā
zulfoñ meñ motiye ke gul gūñdh
kaale ko banā de koḌyālā
lāzim nahīñ ishq-e-kākul ai dil
kyoñ saañp baġhal meñ tū ne paalā
laa.eq nahīñ sarv se tanāsub
vo past hai qad tirā hai baalā
lā-haul tire ḳhizāb par hai
ai shaiḳh na kar muñh apnā kaalā
lākhoñ kos āsmāñ se guzrā
yād-e-qad meñ baḌhā jo naala
lā-sānī hai kambal apnā 'bāqī'
kyā pashm hai shaal yā doshālā
la la mujhe bhar ke de piyala
hai jam-ba-kaf chaman mein lala
zulfon mein motiye ke gul gundh
kale ko bana de koDyala
lazim nahin ishq-e-kakul ai dil
kyon sanp baghal mein tu ne pala
laeq nahin sarw se tanasub
wo past hai qad tera hai baala
la-haul tere KHizab par hai
ai shaiKH na kar munh apna kala
lakhon kos aasman se guzra
yaad-e-qad mein baDha jo nala
la-sani hai kambal apna 'baqi'
kya pashm hai shaal ya doshaala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.