lae to naqd-e-jaan sar-e-bazar kya kahen
Interesting Fact
1963
laa.e to naqd-e-jāñ sar-e-bāzār kyā kaheñ
har shaḳhs hai usī kā ḳharīdār kyā kaheñ
ik dāstān-e-tesha har ik sañg-o-ḳhisht hai
kyuuñ bolte nahīñ dar-o-dīvār kyā kaheñ
us kī galī se pher ke le aa.e jān-o-dil
kitnā hai zindagī se hameñ pyaar kyā kaheñ
dushman hue haiñ apne hue jab se us ke dost
ḳhud ko kaheñ divāna ki hoshyār kyā kaheñ
ham bhī vahī haiñ tum bhī vahī shahr bhī vahī
haa.il magar hai vaqt kī dīvār kyā kaheñ
sāz-e-shikast-e-dil to sadā se ḳhamosh hai
hotā hai kaise sher meñ iz.hār kyā kaheñ
lae to naqd-e-jaan sar-e-bazar kya kahen
har shaKHs hai usi ka KHaridar kya kahen
ek dastan-e-tesha har ek sang-o-KHisht hai
kyun bolte nahin dar-o-diwar kya kahen
us ki gali se pher ke le aae jaan-o-dil
kitna hai zindagi se hamein pyar kya kahen
dushman hue hain apne hue jab se us ke dost
KHud ko kahen diwana ki hoshyar kya kahen
hum bhi wahi hain tum bhi wahi shahr bhi wahi
hail magar hai waqt ki diwar kya kahen
saz-e-shikast-e-dil to sada se KHamosh hai
hota hai kaise sher mein izhaar kya kahen
- Book : Qamat (Pg. 39)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.