lai nahin payam koi zulf-e-yar se
laa.ī nahīñ payām koī zulf-e-yār se
mujh ko shikāyateñ haiñ nasīm-e-bahār se
khelā ho jo darāzī-e-gesū-e-yār se
vo kyā Daregā tūl-e-shab-e-intizār se
āhista ai nasīm ki ye zindagī mirī
miltī huī hai sham-e-sar-e-rah-guzār se
merā hī ek aks hai kyā tuur kyā kalīm
dekhe koī mujhe nigah-e-e'tibār se
ik daaġh hī sahī Thahar ai marg-e-nā-gahāñ
le jaa.eñ kuchh to ālam-e-nā-pā.edār se
mujh ko miTā.e gardish-e-lail-o-nahār kyā
bāhar hai ishq gardish-e-lail-o-nahār se
vo dil ke aa.ine meñ rahe aur mirī nazar
aage baḌhī na ā.ina-e-e'tibār se
ham be-ḳhudān-e-ishq se kyā pursish-e-bahār
pūchho hamāre pairahan-e-tār-tār se
merī tarah unheñ bhī na rusvā kare 'zafar'
Dartā huuñ apne nāla-e-be-iḳhtiyār se
lai nahin payam koi zulf-e-yar se
mujh ko shikayaten hain nasim-e-bahaar se
khela ho jo daraazi-e-gesu-e-yar se
wo kya Darega tul-e-shab-e-intizar se
aahista ai nasim ki ye zindagi meri
milti hui hai sham-e-sar-e-rah-guzar se
mera hi ek aks hai kya tur kya kalim
dekhe koi mujhe nigah-e-e'tibar se
ek dagh hi sahi Thahar ai marg-e-na-gahan
le jaen kuchh to aalam-e-na-paedar se
mujh ko miTae gardish-e-lail-o-nahaar kya
bahar hai ishq gardish-e-lail-o-nahaar se
wo dil ke aaine mein rahe aur meri nazar
aage baDhi na aaina-e-e'tibar se
hum be-KHudan-e-ishq se kya pursish-e-bahaar
puchho hamare pairahan-e-tar-tar se
meri tarah unhen bhi na ruswa kare 'zafar'
Darta hun apne nala-e-be-iKHtiyar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.