Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakh aap par shabab ho kya is se faeda

Haris Ali

lakh aap par shabab ho kya is se faeda

Haris Ali

MORE BYHaris Ali

    laakh aap par shabāb ho kyā is se fā.eda

    dil ko jab na taab ho kyā is se fā.eda

    manzil agar ai shaiḳh bil-āḳhir bahisht hai

    kaisā bhī phir hisāb ho kyā is se fā.eda

    apnā yahī savāl ho inkār-e-vasl kyoñ

    un yahī javāb ho kyā is se fā.eda

    nuqsān is se kyā hai jo mahshar meñ baḳhshe jaa.eñ

    ham ko agar 'azāb ho kyā is se fā.eda

    mā'shūq-e-nek-ḳhū na mohabbat meñ chāhiye

    niyyat na jab ḳharāb ho kyā is se fā.eda

    kaafī janāb-e-dil ko haiñ un nazar ke tiir

    chehre pe go naqāb ho kyā is se fā.eda

    qismat meñ shikast hai 'āshiq ai kalīm

    kitnī bhī tum meñ taab ho kyā is se fā.eda

    'hāris' tamām rind jahannum meñ jā.eñge

    jannat meñ kyoñ sharāb ho kyā is se fā.eda

    lakh aap par shabab ho kya is se faeda

    dil hi ko jab na tab ho kya is se faeda

    manzil agar ai shaiKH bil-aKHir bahisht hai

    kaisa bhi phir hisab ho kya is se faeda

    apna yahi sawal ho inkar-e-wasl kyon

    un ka yahi jawab ho kya is se faeda

    nuqsan is se kya hai jo mahshar mein baKHshe jaen

    hum ko agar 'azab ho kya is se faeda

    ma'shuq-e-nek-KHu na mohabbat mein chahiye

    niyyat na jab KHarab ho kya is se faeda

    kafi janab-e-dil ko hain un ki nazar ke tir

    chehre pe go naqab ho kya is se faeda

    qismat hi mein shikast hai 'ashiq ki ai kalim

    kitni bhi tum mein tab ho kya is se faeda

    'haaris' tamam rind jahannum mein jaenge

    jannat mein kyon sharab ho kya is se faeda

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now