lakh bujhao bujhti nahin hai KHirman-e-jaan se madfan tak
lakh bujhao bujhti nahin hai KHirman-e-jaan se madfan tak
Ghulam Mustafa Faraz
MORE BYGhulam Mustafa Faraz
laakh bujhāo bujhtī nahīñ hai ḳhirman-e-jāñ se madfan tak
ātish-e-gul jab aa jaatī hai baḌhte baḌhte dāman tak
ik vaqt aisā aa.egā zanjīr-e-safar bhī TūTegī
saath mire jab ruk jā.egā 'umr-e-ravāñ kā tausan tak
zarra zarra arz-o-samā kā apnī qīmat rakhtā hai
husn-e-nazar kā khel hai saarā vīrāne se gulshan tak
khulte hī muTThī ham-safaroñ par sakte jaisā 'ālam thā
dekh ke mere raḳht-e-safar ko nam-dīda thā rahzan tak
is duniyā ne ham par us ke darvāze jab band kiye
ham ne ḳhud ko ḳhaak kiyā aur uḌ kar pahuñche rauzan tak
lakh bujhao bujhti nahin hai KHirman-e-jaan se madfan tak
aatish-e-gul jab aa jati hai baDhte baDhte daman tak
ek waqt aisa aaega zanjir-e-safar bhi TuTegi
sath mere jab ruk jaega 'umr-e-rawan ka tausan tak
zarra zarra arz-o-sama ka apni qimat rakhta hai
husn-e-nazar ka khel hai sara virane se gulshan tak
khulte hi muTThi ham-safaron par sakte jaisa 'alam tha
dekh ke mere raKHt-e-safar ko nam-dida tha rahzan tak
is duniya ne hum par us ke darwaze jab band kiye
hum ne KHud ko KHak kiya aur uD kar pahunche rauzan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.