lakh chaha maine parda samne aaya nahin
laakh chāhā maiñ ne parda sāmne aayā nahīñ
merī āñkhoñ ne use DhūñDā magar paayā nahīñ
rahrav-e-dasht-e-tamannā kā safar mushkil huā
dhuup tā-hadd-e-nazar hai aur kahīñ saaya nahīñ
kuchh dinoñ se baḌh rahā hai mere dil kā iztirāb
ik bhī lamhe ne mujhe ārām pahuñchāyā nahīñ
naqsh hai merī sadā ab tak dar-o-dīvār par
tere kānoñ se to ik bhī lafz Takrāyā nahīñ
jitne aslī phuul the gul-dān meñ murjhā ga.e
kāġhzī phūloñ meñ koī phuul kumhlāyā nahīñ
abr guzrā hai mirī kisht-e-tamannā se 'rashīd'
saaya to us ne kiyā hai meñh barsāyā nahīñ
lakh chaha main ne parda samne aaya nahin
meri aankhon ne use DhunDa magar paya nahin
rahraw-e-dasht-e-tamanna ka safar mushkil hua
dhup ta-hadd-e-nazar hai aur kahin saya nahin
kuchh dinon se baDh raha hai mere dil ka iztirab
ek bhi lamhe ne mujhe aaram pahunchaya nahin
naqsh hai meri sada ab tak dar-o-diwar par
tere kanon se to ek bhi lafz Takraya nahin
jitne asli phul the gul-dan mein murjha gae
kaghzi phulon mein koi phul kumhlaya nahin
abr guzra hai meri kisht-e-tamanna se 'rashid'
saya to us ne kiya hai meinh barsaya nahin
- Book : Auraaq (Pg. 50)
- Author : Vazeer Agha
- Publication : Office auraq. chouck Urdu Bazar, Lahore (Nov. Dec. 1974)
- Edition : Nov. Dec. 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.