Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakh chehre the magar tujh sa kahin par bhi na tha

Dinakshi Sahar

lakh chehre the magar tujh sa kahin par bhi na tha

Dinakshi Sahar

MORE BYDinakshi Sahar

    laakh chehre the magar tujh kahīñ par bhī na thā

    thā na behtar tujh ko kho kar haal bad-tar bhī na thā

    itnā kar detā ki koī mujhe ilzām de

    sazā par jurm koī to mire sar bhī na thā

    laḌkhaḌā.e pair phir kyuuñ kyuuñ nazar kho ga.ī

    sirf terī yaad thī hāthoñ meñ sāġhar bhī na thā

    ho gayā jitnā ki tanhā dostoñ bhiiḌ meñ

    dasht-o-vīrāañ meñ akelā ḳhud ko kar bhī na thā

    sach hai yuuñ to ġham bahut the qaid kar paa.e nahīñ

    āsmāñ sar pe khulā thā dil ye be-par bhī na thā

    thī na koī aisī manzil jo mujhe āvāz de

    mujh ko rakkhe bāñdh kar aisā mirā ghar bhī na thā

    lakh chehre the magar tujh sa kahin par bhi na tha

    tha na behtar tujh ko kho kar haal bad-tar bhi na tha

    itna kar deta ki tu koi mujhe ilzam de

    di saza par jurm koi to mere sar bhi na tha

    laDkhaDae pair phir kyun kyun nazar kho si gai

    sirf teri yaad thi hathon mein saghar bhi na tha

    ho gaya jitna ki tanha doston ki bhiD mein

    dasht-o-wiraan mein akela KHud ko pa kar bhi na tha

    sach hai yun to gham bahut the qaid kar pae nahin

    aasman sar pe khula tha dil ye be-par bhi na tha

    thi na koi aisi manzil jo mujhe aawaz de

    mujh ko rakkhe bandh kar aisa mera ghar bhi na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now