lakh dil pareshan ho KHwahishen to hoti hain
laakh dil pareshāñ ho ḳhvāhisheñ to hotī haiñ
shahr-e-be-amāñ meñ bhī bārisheñ to hotī haiñ
bhuul kar gile shikve aa mire gale lag jā
pyaar karne vāloñ meñ ranjisheñ to hotī haiñ
mujh ko rok letī haiñ chāhateñ zamīnoñ kī
āsmāñ ko paane kī ḳhvāhisheñ to hotī haiñ
'ishq karne vāloñ par kis kā zor chaltā hai
darmiyāñ zamāne kī bandisheñ to hotī haiñ
kyoñ mirī ḳhatāoñ par tabsire haiñ har jānib
zindagī meñ insāñ se laġhzisheñ to hotī haiñ
manziloñ kī chāhat meñ jab nikal paḌe to phir
sāzishoñ se Darnā kyā sāzisheñ to hotī haiñ
lakh dil pareshan ho KHwahishen to hoti hain
shahr-e-be-aman mein bhi barishen to hoti hain
bhul kar gile shikwe aa mere gale lag ja
pyar karne walon mein ranjishen to hoti hain
mujh ko rok leti hain chahaten zaminon ki
aasman ko pane ki KHwahishen to hoti hain
'ishq karne walon par kis ka zor chalta hai
darmiyan zamane ki bandishen to hoti hain
kyon meri KHataon par tabsire hain har jaanib
zindagi mein insan se laghzishen to hoti hain
manzilon ki chahat mein jab nikal paDe to phir
sazishon se Darna kya sazishen to hoti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.