lakh hans-bol len hum phir bhi gila rahta hai
laakh hañs-bol leñ ham phir bhī gila rahtā hai
koī mausam ho magar zaḳhm harā rahtā hai
kuchh tabī.at ko hai afsurda-dilī se nisbat
aur kuchh ranj bhī ab dil ko sivā rahtā hai
kī mire qatl ke baad us ne jafā se tauba
ab mire haq meñ vo masrūf-e-duā rahtā hai
kis tarah ḳhalvat-e-dil meñ huā auroñ kā guzar
log kahte haiñ ki is ghar meñ ḳhudā rahtā hai
dhuup bhī chāhiye paanī bhī havā bhī varna
biij miTTī meñ dabā ho to dabā rahtā hai
lakh hans-bol len hum phir bhi gila rahta hai
koi mausam ho magar zaKHm hara rahta hai
kuchh tabiat ko hai afsurda-dili se nisbat
aur kuchh ranj bhi ab dil ko siwa rahta hai
ki mere qatl ke baad us ne jafa se tauba
ab mere haq mein wo masruf-e-dua rahta hai
kis tarah KHalwat-e-dil mein hua auron ka guzar
log kahte hain ki is ghar mein KHuda rahta hai
dhup bhi chahiye pani bhi hawa bhi warna
bij miTTi mein daba ho to daba rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.