lakh kahte raho bura hun main
laakh kahte raho burā huuñ maiñ
jāntā hai ḳhudā ki kyā huuñ maiñ
log jannat kī soch rakhte haiñ
maañ ke baare meñ sochtā huuñ maiñ
paak hai pyaar is qadar merā
jism ko chhoḌ kar milā huuñ maiñ
aaj phir phone aa gayā us kā
phir se sun luuñ ki be-vafā huuñ maiñ
jab koī hal nikal nahīñ saktā
sab tumheñ kyoñ batā rahā huuñ maiñ
kuchh to hai jo chhupā rahe ho tum
dard āñkhoñ se āñktā huuñ maiñ
daur-e-mushkil meñ hī sahī 'arshad'
un ko ab yaad aa gayā huuñ maiñ
lakh kahte raho bura hun main
jaanta hai KHuda ki kya hun main
log jannat ki soch rakhte hain
man ke bare mein sochta hun main
pak hai pyar is qadar mera
jism ko chhoD kar mila hun main
aaj phir phone aa gaya us ka
phir se sun lun ki be-wafa hun main
jab koi hal nikal nahin sakta
sab tumhein kyon bata raha hun main
kuchh to hai jo chhupa rahe ho tum
dard aankhon se aankta hun main
daur-e-mushkil mein hi sahi 'arshad'
un ko ab yaad aa gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.